yā rab ye jahān-e-guzarāñ ḳhuub hai lekin
kyuuñ ḳhvār haiñ mardān-e-safā-kesh o hunar-mand
go is kī ḳhudā.ī meñ mahājan kā bhī hai haath
duniyā to samajhtī hai farañgī ko ḳhudāvand
tū barg-e-gayā hai na vahī ahl-e-ḳhirad rā
o kisht-e-gul-o-lāla ba-baḳhshad ba-ḳhare chand
hāzir haiñ kalīsā meñ kabāb o mai-e-gulgūñ
masjid meñ dharā kyā hai ba-juz mauiza o pand
ahkām tire haq haiñ magar apne mufassir
tāvīl se qur.āñ ko banā sakte haiñ pāzand
firdaus jo terā hai kisī ne nahīñ dekhā
afrañg kā har qarya hai firdaus kī mānind
muddat se hai āvāra-e-aflāk mirā fikr
kar de ise ab chāñd ke ġhāroñ meñ nazar-band
fitrat ne mujhe baḳhshe haiñ jauhar malākūtī
ḳhākī huuñ magar ḳhaak se rakhtā nahīñ paivand
darvesh-e-ḳhudā-mast na sharqī hai na ġharbī
ghar merā na dillī na safāhāñ na samarqand
kahtā huuñ vahī baat samajhtā huuñ jise haq
ne ābla-e-masjid huuñ na tahzīb kā farzand
apne bhī ḳhafā mujh se haiñ begāne bhī nā-ḳhush
maiñ zahr-e-halāhal ko kabhī kah na sakā qand
mushkil hai ik banda-e-haq-bīn-o-haq-andesh
ḳhāshāk ke tode ko kahe koh-e-damāvand
huuñ ātish-e-namrūd ke sho.aloñ meñ bhī ḳhāmosh
maiñ banda-e-momin huuñ nahīñ dāna-e-aspand
pur-soz nazar-bāz o niko-bīn o kam aarzū
āzād o giraftār o tahī kiisa o ḳhursand
har haal meñ merā dil-e-be-qaid hai ḳhurram
kyā chhīnegā ġhunche se koī zauq-e-shakar-ḳhand
chup rah na sakā hazrat-e-yazdāñ meñ bhī 'iqbāl'
kartā koī is banda-e-gustāḳh kā muñh band