zamistānī havā meñ garche thī shamshīr kī tezī
na chhūTe mujh se london meñ bhī ādāb-e-sahar-ḳhezī
kahīñ sarmāya-e-mahfil thī merī garm-guftārī
kahīñ sab ko pareshāñ kar ga.ī merī kam-āmezī
zamām-e-kār agar mazdūr ke hāthoñ meñ ho phir kyā
tarīq-e-koh-kan meñ bhī vahī hiile haiñ parvezī
jalāl-e-pādshāhī ho ki jamhūrī tamāshā ho
judā ho diiñ siyāsat se to rah jaatī hai chañgezī
savād-e-raumat-ul-kubrā meñ dillī yaad aatī hai
vahī ibrat vahī azmat vahī shān-e-dil-āvezī