kushāda dast-e-karam jab vo be-niyāz kare
niyāz-mand na kyuuñ ājizī pe naaz kare
biThā ke arsh pe rakkhā hai tū ne ai vaa.iz
ḳhudā vo kyā hai jo bandoñ se ehtirāz kare
mirī nigāh meñ vo riñd hī nahīñ saaqī
jo hoshiyārī o mastī meñ imtiyāz kare
mudām gosh-ba-dil rah ye saaz hai aisā
jo ho shikasta to paidā navā-e-rāz kare
koī ye pūchhe ki vaa.iz kā kyā bigaḌtā hai
jo be-amal pe bhī rahmat vo be-niyāz kare
suḳhan meñ soz ilāhī kahāñ se aatā hai
ye chiiz vo hai ki patthar ko bhī gudāz kare
tam.īz-e-lāla-o-gul se hai nāla-e-bulbul
jahāñ meñ vā na koī chashm-e-imtiyāz kare
ġhurūr-e-zohd ne sikhlā diyā hai vaa.iz ko
ki bandagān-e-ḳhudā par zabāñ darāz kare
havā ho aisī ki hindostāñ se ai 'iqbāl'
uḌā ke mujh ko ġhubār-e-rah-e-hijāz kare