Allama Iqbal

dil soz se Khaali hai nigah pak nahin hai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
dil soz se ḳhālī hai nigah paak nahīñ hai
phir is meñ ajab kyā ki tū bebāk nahīñ hai
hai zauq-e-tajallī bhī isī ḳhaak meñ pinhāñ
ġhāfil tū nirā sāhib-e-idrāk nahīñ hai
vo aañkh ki hai surma-e-afrañg se raushan
purkār o suḳhan-sāz hai namnāk nahīñ hai
kyā suufī o mullā ko ḳhabar mere junūñ kī
un kā sar-e-dāman bhī abhī chaak nahīñ hai
kab tak rahe mahkūmi-e-anjum meñ mirī ḳhaak
yā maiñ nahīñ yā gardish-e-aflāk nahīñ hai
bijlī huuñ nazar koh o bayābāñ pe hai merī
mere liye shāyāñ ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ hai
aalam hai faqat momin-e-jāñ-bāz kī mīrās
momin nahīñ jo sāhib-e-laulāk nahīñ hai
Top Urdushayar.com