ḳhirad ke paas ḳhabar ke sivā kuchh aur nahīñ
tirā ilaaj nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
har ik maqām se aage maqām hai terā
hayāt zauq-e-safar ke sivā kuchh aur nahīñ
girāñ-bahā hai to hifz-e-ḳhudī se hai varna
guhar meñ āb-e-guhar ke sivā kuchh aur nahīñ
ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ hai agar to kyā hāsil
hayāt soz-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
urūs-e-lāla munāsib nahīñ hai mujh se hijāb
ki maiñ nasīm-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
jise kasād samajhte haiñ tājirān-e-farañg
vo shai mata-e-hunar ke sivā kuchh aur nahīñ
baḌā karīm hai 'iqbāl'-e-be-navā lekin
atā-e-shola sharar ke sivā kuchh aur nahīñ