vo harf-e-rāz ki mujh ko sikhā gayā hai junūñ
ḳhudā mujhe nafas-e-jabra.īl de to kahūñ
sitāra kyā mirī taqdīr kī ḳhabar degā
vo ḳhud farāḳhi-e-aflāk meñ hai ḳhvār o zubūñ
hayāt kyā hai ḳhayāl o nazar kī majzūbī
ḳhudī kī maut hai andesha-hā-e-gūnā-gūñ
ajab maza hai mujhe lazzat-e-ḳhudī de kar
vo chāhte haiñ ki maiñ apne aap meñ na rahūñ
zamīr-e-pāk o nigāh-e-buland o masti-e-shauq
na māl-o-daulat-e-qārūñ na fikr-e-aflātūñ
sabaq milā hai ye merāj-e-mustafā se mujhe
ki ālam-e-basharīyat kī zad meñ hai gardūñ
ye kā.enāt abhī nā-tamām hai shāyad
ki aa rahī hai damādam sadā-e-kun-fayakūñ
ilaaj ātish-e-'rūmī' ke soz meñ hai tirā
tirī ḳhirad pe hai ġhālib firañgiyoñ kā fusūñ
usī ke faiz se merī nigāh hai raushan
usī ke faiz se mere subū meñ hai jehūñ