musalmāñ ke lahū meñ hai salīqa dil-navāzī kā
muravvat husn-e-ālam-gīr hai mardān-e-ġhāzī kā
shikāyat hai mujhe yā rab ḳhudāvañdān-e-maktab se
sabaq shāhīñ bachchoñ ko de rahe haiñ ḳhāk-bāzī kā
bahut muddat ke naḳhchīroñ kā andāz-e-nigah badlā
ki maiñ ne faash kar Daalā tarīqa shāh-bāzī kā
qalandar juz do harf-e-lā-ilāh kuchh bhī nahīñ rakhtā
faqīh-e-shahr qārūñ hai luġhat-hā-e-hijāzī kā
hadīs-e-bāda-o-mīnā-o-jām aatī nahīñ mujh ko
na kar ḳhārā-shigāfoñ se taqāzā shīsha-sāzī kā
kahāñ se tū ne ai 'iqbāl' sīkhī hai ye darveshī
ki charchā pādshāhoñ meñ hai terī be-niyāzī kā