thā jahāñ madrasa-e-shīrī-o-shāhanshāhī
aaj in ḳhānqahoñ meñ hai faqat rūbāhī
nazar aa.ī na mujhe qāfila-sālāroñ meñ
vo shabānī ki hai tamhīd-e-kalīmul-lāhī
lazzat-e-naġhma kahāñ murġh-e-ḳhush-alhāñ ke liye
aah us baaġh meñ kartā hai nafas kotāhī
ek sarmastī o hairat hai sarāpā tārīk
ek sarmastī o hairat hai tamām āgāhī
sifat-e-barq chamaktā hai mirā fikr-e-buland
ki bhaTakte na phireñ zulmat-e-shab meñ raahī