ye hūryān-e-farañgī dil o nazar kā hijāb
bahisht-e-maġhrabiyāñ jalva-hā-e-pā-ba-rikāb
dil o nazar kā safīna sambhāl kar le jā
mah o sitāra haiñ behr-e-vajūd meñ girdāb
jahān-e-saut-o-sadā meñ samā nahīñ saktī
latīfa-e-azalī hai fuġhān-e-chañg-o-rabāb
sikhā diye haiñ use sheva-hā-e-ḳhānqahī
faqīh-e-shahr ko suufī ne kar diyā hai ḳharāb
vo sajda rūh-e-zamīñ jis se kaañp jaatī thī
usī ko aaj taraste haiñ mimbar o mehrāb
sunī na misr o filistīñ meñ vo azaañ maiñ ne
diyā thā jis ne pahāḌoñ ko rasha-e-sīmāb
havā-e-qurtaba shāyad ye hai asar terā
mirī navā meñ hai soz-o-surūr-e-ahd-e-shabāb