Allama Iqbal

aql go aastan se dur nahin

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
aql go āstāñ se duur nahīñ
us kī taqdīr meñ huzūr nahīñ
dil-e-bīnā bhī kar ḳhudā se talab
aañkh kā nuur dil kā nuur nahīñ
ilm meñ bhī surūr hai lekin
ye vo jannat hai jis meñ huur nahīñ
kyā ġhazab hai ki is zamāne meñ
ek bhī sāhib-e-surūr nahīñ
ik junūñ hai ki bā-shu.ūr bhī hai
ik junūñ hai ki bā-shu.ūr nahīñ
nā-subūrī hai zindagī dil kī
aah vo dil ki nā-subūr nahīñ
be-huzūrī hai terī maut kā raaz
zinda ho tū to be-huzūr nahīñ
har guhar ne sadaf ko toḌ diyā
tū hī āmāda-e-zuhūr nahīñ
arinī maiñ bhī kah rahā huuñ magar
ye hadīs-e-kalīm-o-tūr nahīñ
Top Urdushayar.com