anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñ
ye āshiq kaun sī bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ
ilāj-e-dard meñ bhī dard kī lazzat pe martā huuñ
jo the chhāloñ meñ kāñTe nok-e-sozan se nikāle haiñ
phalā-phūlā rahe yā-rab chaman merī umīdoñ kā
jigar kā ḳhuun de de kar ye buuTe maiñ ne paale haiñ
rulātī hai mujhe rātoñ ko ḳhāmoshī sitāroñ kī
nirālā ishq hai merā nirāle mere naale haiñ
na pūchho mujh se lazzat ḳhānamāñ-barbād rahne kī
nasheman saikḌoñ maiñ ne banā kar phūñk Daale haiñ
nahīñ begānagī achchhī rafīq-e-rāh-e-manzil se
Thahar jā ai sharar ham bhī to āḳhir miTne vaale haiñ
umīd-e-hūr ne sab kuchh sikhā rakkhā hai vaa.iz ko
ye hazrat dekhne meñ sīdhe-sādhe bhole bhāle haiñ
mire ash.ār ai 'iqbāl' kyuuñ pyāre na hoñ mujh ko
mire TuuTe hue dil ke ye dard-añgez naale haiñ