Allama Iqbal

digar-gun hai jahan taron ki gardish tez hai saqi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
digar-gūñ hai jahāñ tāroñ kī gardish tez hai saaqī
dil-e-har-zarra meñ ġhauġhā-e-rustā-ḳhez hai saaqī
matā-e-dīn-o-dānish luT ga.ī allāh-vāloñ kī
ye kis kāfir-adā kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saaqī
vahī derīna bīmārī vahī nā-mohkamī dil kī
ilaaj is kā vahī āb-e-nashāt-añgez hai saaqī
haram ke dil meñ soz-e-ārzū paidā nahīñ hotā
ki paidā.ī tirī ab tak hijāb-āmez hai saaqī
na uTThā phir koī 'rūmī' ajam ke lāla-zāroñ se
vahī āb-o-gil-e-īrāñ vahī tabrez hai saaqī
nahīñ hai nā-umīd 'iqbāl' apnī kisht-e-vīrāñ se
zarā nam ho to ye miTTī bahut zarḳhez hai saaqī
faqīr-e-rāh ko baḳhshe ga.e asrār-e-sultānī
bahā merī navā kī daulat-e-parvez hai saaqī
Top Urdushayar.com