Allama Iqbal

nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
nigāh-e-faqr meñ shān-e-sikandarī kyā hai
ḳhirāj kī jo gadā ho vo qaisarī kyā hai
butoñ se tujh ko umīdeñ ḳhudā se naumīdī
mujhe batā to sahī aur kāfirī kyā hai
falak ne un ko atā kī hai ḳhvājgī ki jinheñ
ḳhabar nahīñ ravish-e-banda-parvarī kyā hai
faqat nigāh se hotā hai faisla dil kā
na ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai
isī ḳhatā se itāb-e-mulūk hai mujh par
ki jāntā huuñ ma.āl-e-sikandarī kyā hai
kise nahīñ hai tamannā-e-sarvarī lekin
ḳhudī kī maut ho jis meñ vo sarvarī kyā hai
ḳhush aa ga.ī hai jahāñ ko qalandarī merī
vagarna sher mirā kyā hai shā.irī kyā hai
Top Urdushayar.com