ālam-e-āb-o-ḳhāk-o-bād sirr-e-ayāñ hai tū ki maiñ
vo jo nazar se hai nihāñ us kā jahāñ hai tū ki maiñ
vo shab-e-dard-o-soz-o-ġham kahte haiñ zindagī jise
us kī sahar hai tū ki maiñ us kī azaañ hai tū ki maiñ
kis kī numūd ke liye shaam o sahar haiñ garm-e-sair
shāna-e-rozgār par bār-e-girāñ hai tū ki maiñ
tū kaf-e-ḳhāk o be-basar maiñ kaf-e-ḳhāk o ḳhud-nigar
kisht-e-vajūd ke liye āb-e-ravāñ hai tū ki maiñ