Allama Iqbal

ki haq se farishton ne iqbaal ki ghammazi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
kī haq se farishtoñ ne 'iqbāl' kī ġhammāzī
gustāḳh hai kartā hai fitrat kī hinā-bandī
ḳhākī hai magar is ke andāz haiñ aflākī
ruumī hai na shāmī hai kāshī na samarqandī
sikhlā.ī farishtoñ ko aadam kī taḌap us ne
aadam ko sikhātā hai ādāb-e-ḳhudāvandī
Top Urdushayar.com