Allama Iqbal

taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
taaza phir dānish-e-hāzir ne kiyā sehr-e-qadīm
guzar is ahd meñ mumkin nahīñ be-chob-e-kalīm
aql ayyār hai sau bhes banā letī hai
ishq bechāra na mullā hai na zāhid na hakīm
aish-e-manzil hai ġharībān-e-mohabbat pe harām
sab musāfir haiñ ba-zāhir nazar aate haiñ muqīm
hai garāñ-sair ġham-e-rāhila-o-zād se tū
koh o dariyā se guzar sakte haiñ mānind-e-nasīm
mard-e-darvesh kā sarmāya hai āzādī o marg
hai kisī aur kī ḳhātir ye nisāb-e-zar-o-sīm
Top Urdushayar.com