Rafiq Sandelvi

kabhi zaKHmi karun panw kabhi sar phoD kar dekhun

Rafiq Sandelvi

Pakistan

1961
kabhī zaḳhmī karūñ paañv kabhī sar phoḌ kar dekhūñ
maiñ apnā ruḳh kisī jañgal kī jānib moḌ kar dekhūñ
samādhī hī lagā luuñ ab kahīñ vīrān qabroñ par
ye duniyā tark kar duuñ aur sab kuchh chhoḌ kar dekhūñ
mujhe ghere meñ le rakkhā hai ashiyā o mazāhir ne
kabhī mauqā mile to is kaḌe ko toḌ kar dekhūñ
uḌā duuñ sabz pattoñ meñ chhupī ḳhvāhish kī sab chiḌiyāñ
kabhī dil ke shajar ko zor se jhiñjhoḌ kar dekhūñ
adam-e-takmīl ke dukh se bachā luuñ apnī sochoñ ko
jahāñ se silsila TuuTe vahīñ se joḌ kar dekhūñ
Top Urdushayar.com