jhukā huā hai jo mujh par vajūd merā hai
ḳhud apne ġhaar kā patthar vajūd merā hai
ye chāp, tīrgī, nīche ko jā rahā ziina
isī surañg ke andar vajūd merā hai
nahīñ hai is meñ kisī kī shirākat-nafsī
ye baat tai hai sarāsar vajūd merā hai
mushābah donoñ haiñ phir bhī ruḳh-e-tamannā se
tire vajūd se baḌh kar vajūd merā hai
ye hadd-e-ḳhīrgī jis par hai jalva-ārā tū
bas is se agle qadam par vajūd merā hai