Rafiq Sandelvi

zamin panw tale sar pe aasman liye

Rafiq Sandelvi

Pakistan

1961
zamīn paañv tale sar pe āsmān liye
nidā-e-ġhaib ko jaatā huuñ bahre kaan liye
maiñ baḌh rahā huuñ kisī rād-e-abr kī jānib
badan ko tark kiye aur apnī jaan liye
ye merā zarf ki maiñ ne asāsa-e-shab se
bas ek ḳhvāb liyā aur chand sham.a-dān liye
maiñ sat.h-e-āb pe apne qadam jamā lūñgā
badan kī aag liye aur kisī kā dhyān liye
maiñ chal paḌūñgā sitāroñ kī raushnī le kar
kisī vajūd ke markaz ko darmiyān liye
parinde merā badan dekhte the hairat se
maiñ uḌ rahā thā ḳhalā meñ ajiib shaan liye
qalīl vaqt meñ yuuñ maiñ ne irtikāz kiyā
bas ik jahān ke andar ka.ī jahān liye
abhī to mujh se merī saañs bhī thī nā-mānūs
ki dast-e-marg ne neze badan pe taan liye
zamīñ khaḌī hai ka.ī laakh nuurī sāloñ se
kisī hayāt-e-musalsal kī dāstān liye
Top Urdushayar.com