anā ko ḳhud par savār maiñ ne nahīñ kiyā thā
tumhāre pīchhe se vaar maiñ ne nahīñ kiyā thā
vo ḳhud girā thā lahū-faroshī kī pastiyoñ meñ
use nahīf o nazār maiñ ne nahīñ kiyā thā
pake hue phal hī toḌe the maiñ ne Tahniyoñ se
shajar ko be-barg-o-bār maiñ ne nahīñ kiyā thā
nishāna bāñdhā thā āshiyānoñ kī samt lekin
koī parinda shikār maiñ ne nahīñ kiyā thā
kuchh is qadar the havās gum-sum ki vaqt-e-hijrat
bilakte bachchoñ ko pyaar maiñ ne nahīñ kiyā thā
mire masā.il to ḳhud-ba-ḳhud hī sulajh ga.e the
kahīñ bhī soch-o-bichār maiñ ne nahīñ kiyā thā