Rafiq Sandelvi

miTti hui tahzib se nafrat na kiya kar

Rafiq Sandelvi

Pakistan

1961
miTtī huī tahzīb se nafrat na kiyā kar
chaupāl pe būḌhoñ kī kahānī bhī sunā kar
ma.alūm huā hai ye parindoñ kī zabānī
tham jā.egā tūfān daraḳhtoñ ko girā kar
pītal ke kaTore bhī nahīñ apne gharoñ meñ
ḳhairāt meñ chāñdī kā taqāzā na kiyā kar
mumkin hai garebānoñ meñ ḳhanjar bhī chhupe hoñ
tū shahr-e-amāñ meñ bhī na be-ḳhauf phirā kar
māñge hue sūraj se to behtar hai añdherā
tū mere liye apne ḳhudā se na duā kar
tahrīr kā ye āḳhirī rishta bhī gayā TuuT
tanhā huuñ maiñ kitnā tire maktūb jalā kar
aatī haiñ agar raat ko rone kī sadā.eñ
ham-sā.e kā ahvāl kabhī pūchh liyā kar
vo qaht-e-ziyā hai ki mire shahar ke kuchh log
jugnū ko liye phirte haiñ muTThī meñ dabā kar
Top Urdushayar.com