mirā paañv zer-e-zamīn hai pas-e-āsmāñ mirā haath hai
kahīñ beach meñ mirā jism hai kahīñ darmiyāñ mirā haath hai
ye nujūm haiñ mirī uñgliyāñ ye ufuq haiñ merī hatheliyāñ
mirī por por hai raushnī kaf-e-kahkashāñ mirā haath hai
mire jabr meñ haiñ latāfateñ mirī qadr meñ haiñ kasāfateñ
kabhī ḳhāliq-e-shab-e-tār hai kabhī zau-fishāñ mirā haath hai
kisī bahr-e-ḳhvāb kī sat.h par mujhe tairnā hai tamām shab
mirī aañkh kashtī-e-jism hai mirā bādbāñ mirā haath hai
abhī harf lams-e-visāl ke kisī mantaqe pe rukā nahīñ
abhī guñg merā vajūd hai abhī be-zabāñ mirā haath hai