Seema Ghazal

hamare sanehe hum ko suna rahe kyun ho

Seema Ghazal

Lahore, Punjab, Pakistan

1964
hamāre sānihe ham ko sunā rahe kyuuñ ho
tum itnā bojh bhī dil par uThā rahe kyuuñ ho
tumhārī chhāñv meñ baiThe uThā diyā tum ne
phir ab pukār ke vāpas bulā rahe kyuuñ ho
jo baat sab se chhupā.ī thī umr bhar ham ne
vo baat saare jahāñ ko batā rahe kyuuñ ho
jab ek pal bhī guzarnā muhāl hotā hai
phir itnī der bhī ham se judā rahe kyuuñ ho
tumhārī aañkh meñ aañsū dikhā.ī dete haiñ
tum itnī zor se hañs ke chhupā rahe kyuuñ ho
jo kar liyā hai judā.ī kā faisla tum ne
to ye fuzūl bahāne banā rahe kyuuñ ho
na jaane kis liye āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
zarā sī baat ko itnā baḌhā rahe kyuuñ ho
Top Urdushayar.com