Seema Ghazal

barish thi aur abr tha dariya tha aur bas

Seema Ghazal

Lahore, Punjab, Pakistan

1964
bārish thī aur abr thā dariyā thā aur bas
jaagī to mere sāmne sahrā thā aur bas
aayā hī thā ḳhayāl ki phir dhuup Dhal ga.ī
bādal tumhārī yaad kā barsā thā aur bas
aisā bhī intizār nahīñ thā ki mar ga.e
haañ ik diyā darīche meñ rakkhā thā aur bas
tum the na koī aur thā aahaT na koī chaap
maiñ thī udaas dhuup thī rasta thā aur bas
yuuñ to paḌe rahe mire pairoñ meñ māh-o-sāl
muTThī meñ merī ek hī lamha thā aur bas
Top Urdushayar.com