kyā baat hai ki baat hī dil kī adā na ho
matlab kā mere jaise koī qāfiyā na ho
gul-dān meñ sajā ke haiñ ham log kitne ḳhush
vo shāḳh ek phuul bhī jis par nayā na ho
har lamha vaqt kā hai bas ik ġhuncha-e-baḳhīl
muTThī jo apnī band kabhī kholtā na ho
ab log apne aap ko pahchānte nahīñ
pesh-e-nigāh jaise koī ā.īnā na ho
vahshī havā kī ruuh thī dīvār-o-dar meñ raat
jañgal kī samt koī darīcha khulā na ho