bāham sulūk-e-ḳhās kā ik silsila bhī hai
vo kaun saath saath hai lekin judā bhī hai
barg-e-ḳhizāñ kī zard sī tahrīr hai magar
dast-e-shafaq meñ phuul sunahrā khilā bhī hai
īthar kī dhund meñ haiñ ga.e mausamoñ ke naqsh
ik haath piiTh par hai diyā ik jalā bhī hai
afkār jaise shaḳhs barahna nagar ke haiñ!
alfāz ajnabī ki nayā nāravā bhī hai
paanī meñ ik charāġh kī lau nam gudāz surḳh
paanī meñ koī aks ajab zard sā bhī hai
ik nashsha! dhūp! ḳhvāb! shafaq! chāñdnī! sarāb
khiḌkī gumāñ kii! sāmne manzar nayā bhī hai
aao banā.eñ kashtiyāñ kāġhaz kī chal ke raaz
purvā chalī hai jhuum ke bādal uThā bhī hai