Raj Narayan Raaz

bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae

Raj Narayan Raaz

Balochistan, Pakistan

1930-1998
būñdeñ paḌī thiiñ chhat pe ki sab log uTh ga.e
qudrat ke aadmī se ajab silsile rahe
vo shaḳhs kyā huā jo muqābil thaa! sochiye!
bas itnā kah ke aa.ine ḳhāmosh ho ga.e
is aas par ki ḳhud se mulāqāt ho kabhī
apne hī dar pe aap hī dastak diyā kiye
patte uḌā ke le ga.ī andhī havā kahīñ
ashjār be-libās zamīñ meñ gaḌe rahe
kyā baat thī ki saarī fazā bolne lagī!
kuchh baat thī ki der talak sochte rahe
har sansanātī shai pe thī chādar dhueñ kī 'rāz'
ākāsh meñ shafaq thī na paanī pe dā.ere
maiñ ne ġhazal kahī hai 'munavār' magar kahāñ!
pūchhegā 'rāz' kaun! miyāñ sher kuchh kahe?
Top Urdushayar.com