Raj Narayan Raaz

TuTi hui diwar ki taqdir bana hun

Raj Narayan Raaz

Balochistan, Pakistan

1930-1998
TuuTī huī dīvār kī taqdīr banā huuñ
maiñ kaisā fasāna huuñ kahāñ likkhā huā huuñ
koī bhī mire karb se āgāh nahīñ hai
maiñ shāḳh se girte hue patte kī sadā huuñ
muTThī meñ liye maazī o imroz kī kirneñ
maiñ kab se na.e daur kī chaukhaT pe khaḌā huuñ
is shahr-e-pur-āshob ke hañgāma o shar meñ
zaitūn kī Daalī huuñ kahīñ shāḳh-e-hinā huuñ
gavayyā nahīñ lafzoñ ke ma.ānī se shanāsā
idrāk kī sarhad pe maiñ chup-chāp khaḌā huuñ
simTā to banā phūloñ kī ḳhush-rañg qabā.eñ
bikhrā huuñ to ḳhushbū kī tarah phail gayā huuñ
maiñ 'rāz' chamaktā huā jhūmar thā kisī kā
ab shab ke samundar meñ kahīñ Duub gayā huuñ
Top Urdushayar.com