jaane kis ḳhvāb kā sayyāl nasha huuñ maiñ bhī
ujle mausam kī tarah ek fazā huuñ maiñ bhī
haañ dhanak TuuT ke bikhrī thī mire bistar par
ai sukūñ-lams tire saath jiyā huuñ maiñ bhī
raah pāmāl thī chhoḌ aayā huuñ sāthī sote
korī miTTī kā gunahgār huā huuñ maiñ bhī
kitnā sarkash thā havāoñ ne sazā dī kaisī
kaaTh kā murġh huuñ ab bād-numā huuñ maiñ bhī
kaisī bastī hai makīñ jis ke haiñ būḌhe bachche
kyā muqaddar hai kahāñ aa ke rukā huuñ maiñ bhī
ek be-chehra sī maḳhlūq hai chāroñ jānib
ā.īno dekho mujhe masḳh huā huuñ maiñ bhī
haath shamshīr pe hai zehn pas-o-pesh meñ hai
'rāz' kin yāroñ ke mā-bain khaḌā huuñ maiñ bhī