Raj Narayan Raaz

main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun

Raj Narayan Raaz

Balochistan, Pakistan

1930-1998
maiñ sañglāḳh zamīnoñ ke raaz kahtā huuñ
maiñ giit ban ke chaTānoñ ke biich gūñjā huuñ
tulū-e-sub.h kā manzar ajiib hai kitnā
mirā ḳhayāl hai maiñ pahlī baar jaagā huuñ
mirā vajūd ġhanīmat hai sochiye to sahī
maiñ ḳhushk Daal kā pattā harā harā sā huuñ
bajā ki roz añdherā mujhe nigaltā hai
maiñ roz ik nayā ḳhurshīd ban ke uThtā huuñ
kisī ne baat hī samjhī na haal hī pūchhā
ajiib karb ke aalam meñ ghar se niklā huuñ
maiñ jāntā huuñ ki hai irtiqā kī kyā sūrat
maiñ aah ban ke uThā abr ban ke barsā huuñ
ajiib baat hai har samt rāste haiñ ravāñ
ajiib baat hai maiñ ghar kī raah bhūlā huuñ
mujhe talāsh kareñge na.ī rutoñ meñ log
maiñ gahrī dhund meñ lipTā huā jazīrā huuñ
is ik savāl ne rakkhā hai muddatoñ hairāñ
maiñ kis kā ruup huuñ maiñ 'rāz' kis kī chhāyā huuñ
Top Urdushayar.com