Raj Narayan Raaz

kya baat thi ki jo bhi suna an-suna hua

Raj Narayan Raaz

Balochistan, Pakistan

1930-1998
kyā baat thī ki jo bhī sunā an-sunā huā
dil ke nagar meñ shor thā kaisā machā huā
tum chhup ga.e the jism kī dīvār se pare
ik shaḳhs phir rahā thā tumheñ DhūñDtā huā
ik saaya kal milā thā tire ghar ke ās-pās
hairān khoyā khoyā sā kuchh sochtā huā
shāyad havā-e-tāza kabhī aa.e is taraf
rakkhā hai maiñ ne ghar kā darīcha khulā huā
bhaTkā huā ḳhayāl huuñ vaadī meñ zehn kī
alfāz ke nagar kā pata pūchhtā huā
chāhā thā maiñ ne jab bhī hadoñ ko phalāñgnā
dekhā thā aage aage ufuq dauḌtā huā
chhiTkī huī thī chāñdnī yādoñ kī shab ko 'rāz'
āñgan mire ḳhayāl kā thā chauñktā huā
Top Urdushayar.com