Raj Narayan Raaz

sochiye garmi-e-guftar kahan se aai

Raj Narayan Raaz

Balochistan, Pakistan

1930-1998
sochiye garmi-e-guftār kahāñ se aa.ī
lab-ba-lab ḳhvāhish-e-iz.hār kahāñ se aa.ī
kis hinā-hāth se āñgan hai mo.attar itnā
vaqt-e-ḳhush sā.at-e-bedār kahāñ se aa.ī
haañ ye mumkin hai nayā moḌ ho phūloñ jaisā
phir ye pāzeb kī jhankār kahāñ se aa.ī
ḳhuun meñ nashsha-e-iz.hār kā ḳhanjar paivast
darmiyāñ chup kī ye talvār kahāñ se aa.ī
ham ḳharābe ke musāfir haiñ hamāre dil meñ
ārzū-e-dar-o-dīvār kahāñ se aa.ī
sochtā huuñ ki ḳhush-andāz diloñ meñ ai 'rāz'
shorish-e-ḳhū-e-dil-āzār kahāñ se aa.ī
Top Urdushayar.com