Shayan  Quraishi

sham ke Dhalte suraj ne ye baat mujhe samjhai hai

Shayan Quraishi

shaam ke Dhalte sūraj ne ye baat mujhe samjhā.ī hai
tārīkī meñ dekh sakūñ to āñkhoñ meñ bīnā.ī hai
ehsāsāt kī tah tak jaanā kitnā mushkil hotā hai
zehn-o-dil meñ jitnā utro utnī hī gahrā.ī hai
rishte-nāte bāhar se to jism ko ghere baiThe haiñ
ruuh ke andar jhāñk ke dekho mīloñ tak tanhā.ī hai
lafzoñ ne hī nashtar ban ke dil ko gahre zaḳhm diye
lafzoñ ne hī zaḳhm-e-dil ko ThanDak bhī pahuñchā.ī hai
piiTh pe kartā vaar to shāyad meñ sadme se mar jaatā
maiñ to ḳhush huuñ maiñ ne us se choT jigar pe khaa.ī hai
kamroñ ke baTvāre meñ ik kamrā zaa.id jaane do
lekin ye ehsās bachā lo apnā hī to bhaa.ī hai
diip jalā kar duniyā vaale is tiilī ko bhuul ga.e
lekin sach hai dīpak raushan kartī diyā-salā.ī hai
majzūboñ ke khel samajhnā sab ke bas kī baat nahīñ
pahle zaḳhm udheḌ ke jaanā phir us kī turpāī hai
rāteñ apnī raushan kar lo ashkoñ se 'shāyān' abhī
vaqt se pahle apne safar kī tayyārī dānā.ī hai
Top Urdushayar.com