zabāneñ chup raheñ lekin mizāj-e-yār bolegā
ki tū bā-zarf hai kitnā tirā kirdār bolegā
na.ī nasloñ ko kis ne kyā diyā hai dekhiye lekin
mire ash.ār meñ tahzīb kā me.aar bolegā
vo jis ne khaa.e haiñ dhoke mohabbat kar ke apnoñ se
vahī to ḳhuun ko paanī guloñ ko ḳhaar bolegā
jahāñ sach baat kahne kā ho matlab jaan se jaanā
usī mahfil meñ bas apnā dil-e-ḳhuddār bolegā
vahāñ a.amāl ko apne koī jhuTlā na pā.egā
ki ye hissa badan kā jab sar-e-darbār bolegā
koī maane na maane par mohabbat hī haqīqat hai
abhī maiñ kah rahā huuñ kal yahī aḳhbār bolegā
agar ḳhāmosh kar bhī dī zabāñ rasm-e-mohabbat meñ
sar-e-mahfil magar 'shāyān' kā kirdār bolegā