bikhrī thī har samt javānī raat ghanerī hone tak
lekin maiñ ne dil kī na maanī raat ghanerī hone tak
dard kā dariyā baḌhte baḌhte siine tak aa pahuñchā hai
aur chaḌhegā thoḌā paanī raat ghanerī hone tak
aag pe chalnā qismat meñ hai barf pe ruknā majbūrī
kaun sunegā apnī kahānī raat ghanerī hone tak
us ke binā ye gulshan bhī ab sahrā jaisā lagtā hai
lagtā hai sab kuchh be-ma.anī raat ghanerī hone tak
ḳhūn-e-jigar se ham ko charāġhāñ karnā hai so karte haiñ
apnī hai ye riit purānī raat ghanerī hone tak
jin hoñToñ ne pyāse rah kar ham ko apne jaam diye
yaad karo un kī qurbānī raat ghanerī hone tak
dil meñ apne zaḳhm-e-tamannā āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb liye
barsoñ ham ne ḳhaak hai chhānī raat ghanerī hone tak