Shayan  Quraishi

rah-e-wafa mein saya-e-diwar-o-dar bhi hai

Shayan Quraishi

rāh-e-vafā meñ sāya-e-dīvār-o-dar bhī hai
lekin usī pe jaan se jaane kā Dar bhī hai
vaqfa hai zindagī to faqat chand roz kā
phir shahr-e-rañg-o-bū kī taraf ik safar bhī hai
raushan rakho charāġh lahū se tamām shab
har raat ke nasīb meñ āḳhir sahar bhī hai
kirdār dekhne kī rivāyat nahīñ rahī
ab aadmī ye dekhtā hai māl-o-zar bhī hai
sun to rahe ho baat yuuñ vaa.iz kī ġhaur se
lekin yaqīn us kī kisī baat par bhī hai
dāmān-e-gul-ruḳhāñ kī tamannā bhī dosto
kitnā hasīn ḳhvāb hai tum ko ḳhabar bhī hai
merā bayān-e-shauq bhalā rā.egāñ ho kyuuñ
tahrīr meñ nihāñ mirā ḳhūn-e-jigar bhī hai
yuuñ to koī aziiz haiñ aur dost bhī magar
'shāyān' ye batāo koī mo'atabar bhī hai
Top Urdushayar.com