zamāna yaad rakkhegā tumheñ ye kaam kar jaanā
kisī afsurda chehre meñ ḳhushī ke rañg bhar jaanā
kisī bhī hādse par us kī āñkheñ nam nahīñ hotīñ
isī hālat ko kahte haiñ miyāñ ehsās mar jaanā
agar jaanā zarūrī hai to thoḌā muskurā bhī de
mujhe achchhā nahīñ lagtā tirā bā-chashm-e-tar jaanā
abhī bhī vaqt hai baaqī taḌap paidā karo varna
qayāmat kī nishānī hai duāoñ se asar jaanā
shahādat kī jabīñ par aaj bhī raushan hai vo lamha
vo saa.at jis meñ thā shabbīr kā sajde meñ sar jaanā
ka.ī āñkhoñ ke dīpak muntazir haiñ dil kī rāhoñ meñ
mirī āvārgī lāzim hai merā ab to ghar jaanā
anā ko bechnā 'shāyān' zillat kī nishānī hai
anā ko bechne se to kahīñ behtar hai mar jaanā