Shayan  Quraishi

safar kahne ko jari hai magar azm-e-safar ghaeb

Shayan Quraishi

safar kahne ko jaarī hai magar azm-e-safar ġhā.eb
ye aisā hai ki jaise ghar se hoñ dīvār-o-dar ġhā.eb
hazāroñ mushkileñ aa.iiñ vafā kī raah meñ mujh par
kabhī manzil huī ojhal kabhī rāh-e-safar ġhā.eb
ajab manzar ye dekhā hai ḳhirad vāloñ kī bastī meñ
yahāñ sar to salāmat the magar fikr-o-nazar ġhā.eb
hasīñ mausam ne nazreñ pher liiñ apne taġhāful par
hue raftār-e-duniyā ke sabab shām-o-sahar ġhā.eb
parindo lauT kar aanā zarā jaldī uḌānoñ se
na ho jaa.eñ kahīñ āñgan se ye būḌhe shajar ġhā.eb
ye kis kī surḳhī-e-ruḳh shaam ke chehre pe utrī hai
ki jis ke rañg meñ mil kar hue zaḳhm-e-jigar ġhā.eb
kamī pahle hī thī shāyān ahl-e-zarf kī lekin
nazar se ho rahe haiñ aaj kal ahl-e-nazar ġhā.eb
Top Urdushayar.com