zaḳhm siine kā phir ubhar aayā
yaad bhar koī chāra-gar aayā
mujh ko baḳhshī ḳhudā ne ik beTī
chāñd āñgan meñ ik utar aayā
ḳhush nasīboñ ko ghar milā yaaro
mere hisse meñ phir safar aayā
tum taġhayyur kī baat par Thahre
maiñ salīboñ se baat kar aayā
apnī tahzīb ko nahīñ chhoḌā
ye bhī ilzām mere sar aayā
ik kalī khil ke phuul meñ badlī
ek bhañvrā bhī phuul par aayā
paar utrā ufuq ke sūraj to
phir musāfir ko yaad ghar aayā
dostī dhuup se hī kar lī jab
raah meñ tab ghanā shajar aayā
dil to 'shāyān' TūTnā hī thā
us kā kirdār bhī nazar aayā