Shayan  Quraishi

haalat ke kohna dar-o-diwar se niklen

Shayan Quraishi

hālāt ke kohna dar-o-dīvār se nikleñ
duniyā ko badalnā hai to ghar-bār se nikleñ
nākām sadāoñ ke haiñ aaseb yahāñ par
is dasht-e-tamannā se to raftār se nikleñ
jin meñ ho mohabbat kā uḳhuvvat kā ishāra
paiġhām kuchh aise bhī to aḳhbār se nikleñ
duniyā bhī to ban saktī hai jannat kā namūna
ham apnī anā apne hī pindār se nikleñ
jo haqq-o-sadāqat kā sabaq bhuul ga.e haiñ
vo kaise bhalā vaqt ke āzār se nikleñ
ham ne bhī bahāroñ ko lahū apnā diyā hai
ab ham se hī kahte ho ki gulzār se nikleñ
is darja taġhāful hai to ham ne bhī ye sochā
ummīd-e-karam hasrat-e-dīdār se nikleñ
har ek qadam par hai yahāñ jaan kā ḳhatra
ab soch samajh kar zarā bāzār se nikleñ
aage hī nikalnā hai jo 'shāyān' se un ko
aḳhlāq se a.amāl se kirdār se nikleñ
Top Urdushayar.com