sabr-o-qarār TuuT gayā iztirāb se
phir raaz khul gayā mirī āñkhoñ ke aab se
us dil ke saaz par kisī birhan kā giit hai
aane lagī haiñ siskiyāñ dil ke rabāb se
jaane se pahle us ne mujhe devtā kahā
maiñ umr bhar na chhūT sakā is ḳhitāb se
phir yaad aa ga.e vahī collage ke din mujhe
sūkhe gulāb nikle purānī kitāb se
barbādiyoñ meñ merī kahāñ kis kā haath hai
tum ḳhud hī pūchh lo dil-e-ḳhāna-ḳharāb se
jin ko gumān thā kahīñ koī ḳhudā nahīñ
qaumeñ na bach sakīñ vo ḳhudā ke azaab se
kāfūr pal meñ hotī hai din bhar kī sab thakan
jab dekhtā huuñ bachchoñ ke chehre gulāb se
rakhiye bahut ḳhayāl huqūq-ul-ibād kā
denā paḌegā haq vahāñ sab kā hisāb se
'shāyān' tujh ko aarzū jannat kī hai agar
dil ko lagā le apne ḳhudā kī kitāb se