shikoh-e-zāt se dushman kā lashkar kaañp jaatā hai
agar kirdār puḳhta ho sitamgar kaañp jaatā hai
tasavvur meñ ubhartā hai kabhī jab qabr kā manzar
uchaT jaatī haiñ nīndeñ aur bistar kaañp jaatā hai
mile haiñ zaḳhm kuchh aise mujhe apne rafīqoñ se
ka.ī barsoñ ke kuchh rishtoñ kā mehvar kaañp jaatā hai
kisī bhī jañg meñ koī shahādat kī ḳhabar sun kar
sisak uThte haiñ kañgan aur zevar kaañp jaatā hai
vo haidar murtazā bhī haiñ vahī sher-e-ḳhudā bhī haiñ
vahī ik naam sun ke ab bhī ḳhaibar kaañp jaatā hai
chale aate haiñ kuchh yuuñ be-salīqa log maiḳhāne
surāhī rone lagtī hai to sāġhar kaañp jaatā hai
vahī be-ḳhauf rahtā hai sadā 'shāyān' duniyā meñ
ḳhudā ke ḳhauf se dil jis kā akasr kaañp jaatā hai