hai talḳh-tar hayāt is sharāb se
tū ishq haar degā ijtināb se
kahāniyāñ dahak rahī haiñ raat kī
badan ulajh rahe haiñ māhtāb se
ḳhudā-e-ḳhvāb ḳhema-zan thā aañkh meñ
so dil chaTaḳh rahā thā iztirāb se
maiñ raushnī ke biij bo ke so gayā
charāġh ug rahe haiñ kisht-e-ḳhvāb se
rafū-garo ham aise ḳhasta-tan yahāñ
udhaḌ udhaḌ ke ā.eñge sarāb se
'razā' ye ḳhushbuoñ kā zā.iqa nahīñ
jo ris rahā hai jism ke gulāb se