vahm hai hast bhī niist bhī vahm hai
dīn-o-duniyā kī har ik galī vahm hai
kaisī āvāz hai kaan phaT jā.eñge
hai bhī yā ye mirā dā.imī vahm hai
ye tamāshā-e-ilm-o-hunar dosto
kuchh nahīñ hai faqat kāġhzī vahm hai
khīñch lī hai kamāñ maiñ ne iz.hār kī
ab zarā phir kaho zindagī vahm hai
itnā hassās huuñ jitnā koī nahīñ
maan lo na 'razā' āḳhirī vahm hai