Nadir Shahjahanpuri

hum dil fida karen ki tasadduq-e-jigar karen

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
ham dil fidā kareñ ki tasadduq-e-jigar kareñ
jo bhī kaheñ huzūr vahī umr bhar kareñ
kuchh ab to aap chāra-e-dard-e-jigar kareñ
mujh par nahīñ to apne karam par nazar kareñ
kuchh baat hai laboñ pe jo mohr-e-sukūt hai
karne ko naale shaam se ham tā-sahar kareñ
tūl-e-shab-e-firāq se ghabrā gayā hai jī
ai kaash aap qissa mirā muḳhtasar kareñ
le chupke chupke kaam kiye jā ġham-e-firāq
duniyā ko ghar kī baat se kyā bā-ḳhabar kareñ
'nādir' yahī hai asal meñ merāj-e-bandagī
yaad un kī un ke ishq se bhī pesh-tar kareñ
Top Urdushayar.com