Nadir Shahjahanpuri

mangna kaam mujh sawali ka

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
māñgnā kaam mujh savālī kā
baḳhshnā terī zāt-e-ālī kā
kyuuñ girāyā hai apnī nazroñ se
hukm kar de mirī bahālī kā
tū hī vo phuul hai jo hai mahbūb
patte patte kā Daalī Daalī kā
baat jo bhī kaho vo saaf kaho
kaam kiyā fazl-e-ehtimālī kā
jal bujhūñgā bhaḌak ke dam bhar meñ
maiñ huuñ goyā diyā divālī kā
'nādir' aisā kalām hai merā
saad hai jis pe lā-zavālī kā
Top Urdushayar.com