zindagī apnī kāmyāb nahīñ
ġham-e-daurāñ kā kuchh hisāb nahīñ
dard jis meñ na ho vo dil kaisā
naaz jis meñ na ho shabāb nahīñ
mauj-e-dariyā ko chāhiye tezī
jo uThā.e na sar habāb nahīñ
dost terī harīm-e-aqdas meñ
ek banda hī bāryāb nahīñ
ḳhvāb-e-marg aa.egā zarūr ik din
ye haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ
tere bāb-e-qubūl par yārab
arz merī hī mustajāb nahīñ
kaam ye lā javāb karte ho
mere ḳhat kā koī javāb nahīñ
mere jurmoñ kā kuchh hisāb to hai
tere hī rahm kā hisāb nahīñ
kyā karūñ terī diid kī hasrat
jab mujhe dekhne kī taab nahīñ
dekh gahrī nazar se dariyā ko
koī aisī khulī kitāb nahīñ
tujh se bekas haiñ saikḌoñ 'nādir'
zer-e-gardūñ tū hī ḳharāb nahīñ