kiye qarār magar be-qarār hī rakkhā
hameñ to aap ne ummīd-vār hī rakkhā
pas-e-fanā bhī falak ne ġhubār hī rakkhā
na rakkhī ḳhaak na sañg-e-mazār hī rakkhā
kisī ke dard-e-judā.ī ne ham ko jiite jī
misāl-e-abr-e-siyah ashk-bār hī rakkhā
maiñ teġh-e-yār kā kyuuñ kar na dam bharūñ jis ne
maze ḳhalish ke diye dil-figār hī rakkhā
milā na chain kabhī ham ko ḳhaak ho kar bhī
falak ne dosh-e-sabā par savār hī rakkhā
ḳhayāl-e-āriz-e-rañgīñ ne roz aa aa kar
ḳhizāñ meñ bhī hameñ mahv-e-bahār hī rakkhā
kisī kī chashm-e-mukayyaf ne kiyā kahīñ 'nādir'
tamām umr hameñ bāda-ḳhvār hī rakkhā