Nadir Shahjahanpuri

jo dard-e-jigar mein kami ho to jaanun

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
jo dard-e-jigar meñ kamī ho to jānūñ
qayāmat agar multavī ho to jānūñ
muqaddar na merā bigaḌ kar banegā
kisī kī bhī bigḌī banī ho to jānūñ
mujhe terī furqat meñ jo be-kalī hai
tujhe bhī vahī be-kalī ho to jānūñ
shab-e-ġham meñ kal maiñ ne taare gine haiñ
zarā aañkh merī lagī ho to jānūñ
raqīboñ kī har baat karte ho puurī
mire saath meñ munsifī ho to jānūñ
pas-e-marg 'nādir' vo aa.e bhī to kyā
ināyat agar jiite jī ho to jānūñ
Top Urdushayar.com