Nadir Shahjahanpuri

hum un ke gham mein taDap rahe hain jo ghair se dil laga chuke hain

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
ham un ke ġham meñ taḌap rahe haiñ jo ġhair se dil lagā chuke haiñ
hamāre dil meñ hai yaad un kī jo ham ko dil se bhulā chuke haiñ
balā-e-mahshar bhī sahal un ko azāb-e-dozaḳh bhī un ko āsāñ
jo terī ulfat meñ apne dil par ġham-e-judā.ī uThā chuke haiñ
adū se jā kar karo ye bāteñ vahīñ guzāro tum apnī rāteñ
tumhārī bātoñ meñ aa chuke ham tumheñ bahut aazmā chuke haiñ
agar na aa.eñ nazar na aa.eñ nahīñ hai kuchh bhī ḳhayāl is kā
kahāñ vo jā.eñge muñh chhupā kar hamāre dil meñ jab aa chuke haiñ
ye kyā qayāmat hai yā ilāhī ki un kī aamad kā haal sun kar
shakeb-o-sabr-o-qarār hosh-o-havās pahle hī jā chuke haiñ
ḳhayāl kuchh bhī nahīñ hai tujh ko but-e-parīvash hamārā ham to
tirī mohabbat meñ naqd-e-jān-o-dil-o-jigar bhī luTā chuke haiñ
butoñ ko denā na bhuul kar dil na un pe honā zarā bhī maa.il
nahīñ hai juz rañj un se hāsil tujhe ye 'nādir' jatā chuke haiñ
Top Urdushayar.com